logo
Ghazal.110mb.com




Ye haseen sham

 

 

Artist: Tina Sani

Size: 329 KB

Click Here to download: Download

 

 

 

Ye haseen sham apni abhi jiss main ghull rahee hai
teray pairhan ki khushboo
abhi jiss main khil rahee hai
meray khwaab kay shagoofay
zara der kaa hai manzar
zara der kaa hai manzar

yeh haseen shaam apni abhi jiss main ghull rahee hai
teray pairhan ki khushboo
abhi jiss main khil rahee hai
meray khwaab kay shagoofay
zara der kaa hai manzar
zara der kaa hai manzar

zara der main ufaq pay chalay gaa koi sitaaraa
teri simt dekh ker woh
karay gaa koi ishaaraa
teray dil ko ai gaa phir kisi aur kaa bulaawaa
koi kissa-e-judai
koi kar-e-namukammal
koi khwaab naa shaguftaa
koi baat kehnay waali

kisi aur aadmi say hamien chahiyay thaa milnaa
kisi ehday mehrbaan main
kisi khwaab kay yakeen main
kisi aur asamaan per
kisi aur sarzameen main
hamein chahiyay thaa milnaa

kisi ehday mehrbaan main hamein chahiyay thaa milnaa
kisi khwaab kay yakeen main hamein chahiyay thaa milnaa
kisi aur asamaan per hamein chahiyay thaa milnaa
kisi aur sarzameen main
kisi aur sarzameen main................