logo
Ghazal.110mb.com




Dasht-e-tanhai mein

 

 

Artist: Tina Sani

Size: 373 KB

Click Here to download: Download

 

 

 

Dasht-e-tanhai mein
Aye jaan-e-jahaan larzaan hai

Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke seraab

Dasht-e-tanhai mein
Aye jaan-e-jahaan larzan hai
Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke seraab
Dasht-e-tanhayee mein
Doori ke khas-o-khaak talei
Khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
Dasht-e-tanhayee mein
Aye jaan-e-jahaan larzan hai
Dasht-e-tanhayee mein

Uth rahi hai kahin qurbat se
Teri saans ki aanch
Apni khushboo mein sulaghti huee
Maddham, maddham...
Door ufaq paar chamakti hui
qatra qatra...
Mil rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Dasht-e-tanhayee mein
Aye jaan-e-jahan larzaan hai
Dasht-e-tanhai mein

Is qadar pyaar se
Aye jaan-e-jahaan rakkha hai
Dil ke rukhsaar pe is waqt
Teri yaad ne haath
Yunh ghumaan hota hai
Garje hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijr ka din Aaa bhi gayi wasl-ki-raat
Dasht-e-tanhayee mein
Aye jaan-e-jahan larzaan hai
Teri aawaaz ke saaye
Tere honton ke seraab

Dasht-e-tanhayee mein
Aye jaan-e-jahan larzaan hai