sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
apne man ki main jaanuuN aur pee ke man ki Raam
yahi meri bandagi hai yahi meri pooja
ek tha sajan mandir mein aur ek tha pritam masjid mein
par main prem ke rang mein aisi doobi ban gaya ek hi roop
prem ki maala japte japte aap bani main Shyam
ham aur nahin kuchu kaam ke
matwaare pee ke naam ke, har dam
sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam
pritam ka kuch dosh nahin hai wo to hai nirdosh
apne aap se baatein kar ke ho gayi main badnaam
sanson ki mala pe simruuN main pee ka naam