logo
Ghazal.110mb.com




Shola tha jal bujha hu hawaayein mujhe na do

 

 

Artist: Mehdi Hasan

Size:

Click Here to download:

 

 

 

Shola tha jal bujha hu hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chuka huun sadaayein mujhe na do

jo zahar pi chuka huun tumhin ne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayein mujhe na do

aisa kabhi na ho ke palat kar na aa sakuun
har baar duur ja ke sadaayein mujhe na do

kab mujhako aitaraaf-e-muhabbat na tha ' faraaz'
kab mainne ye kaha tha sazaayein mujhe na do