logo
Ghazal.110mb.com




Bairan neend na aaye

 

 

Artist: Lata Mangeshkar

Size:

Click Here to download:

 

 

 

Bairan neend na aaye -2
mohe bairan neend na aaye
mora jiya ghabaraaye
bairan neend na ...

sooni padi meri palakon ki galiyaan -2
kaun khilaaye nindiya ki kaliyaan
apane bhi hain paraaye
mohe bairan neend ...

laakh jatan karoon aankh na laage -2
so gaeen kushiyaan aur gam jaage
ghaayal man kit jaaye
mohe bairan neend ...

yaad aayen jab pyaar ki baaten -2
aur bhi lambi ho jaayen raaten
bhor nazar nahi aaye
mohe bairan neend ...