Ye dil ye pagal dil mera kyu bujh gaya awargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua awargi
kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi
ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi