Dono jahan teri mohabbat me har ke
wo jaa raha hai koi shab-e-gham guzar ke
veraan hai maikada, kham-o-saghar udaas hain
tum kia gaya ke rooth gaye din bahar ke
dunya ne teri yaad se baygaana kar dia
tujh se bhi dil farayb hain ghum rozagaar ke
bhholay se muskara to diye the wo aaj faiz
mat pochh walwalay dil-e-nakardakaar ke