logo
Ghazal.110mb.com




In ankhon ki masti ke

 

 

Artist: Asha Bhonsle

Size:

Click Here to download:

 

 

 

In ankhon ki masti ke, aah aah aah aah
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
Mastaane hazaaron hain
In aankhon se vaabasta
In aankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Ek tum hi nahin tanha, aah aah
Ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri rusva
Ulfat mein meri rusva
Is shaher mein tum jaise
Is shaher mein tum jaise deewaane hazaaron hain
Deewaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke, aah aah aah

Ek sirf humi mai ko, ek sirf humi
Ek sirf humi mai ko aankhon se pilaate hain
Aankhon se pilaate hain
Kehne ko to duniya mein
Kehne ko to duniya mein maikhaane hazaaron hain
Maikhaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In aankhon ki masti ke

Is shamm-e-faroza ko, aah aah
Is shamm-e-faroza ko aandhi se darraate ho
Aandhi se darraate ho
Is shamm-e-faroza ke
Is shamm-e-faroza ke parvaane hazaaron hain
Parvaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke mastaane hazaaron hain
In ankhon se vaabasta afsaane hazaaron hain
Afsaane hazaaron hain
In ankhon ki masti ke