logo
Ghazal.110mb.com




Chain se hum ko kabhi

 

 

Artist: Asha Bhonsle

Size:

Click Here to download:

 

 

 

Chain se hum ko kabhi, aap ne jeene naa diya
jahar bhee chaahaa agar, peenaa to peene naa diya

chaand ke rath mein, raat kee dulhan jab jab aayegee
yaad humaaree, aap ke dil ko, tadapaa jaayegee
aap ne jo hain diya, wo to kisee ne naa diya

aap kaa gam jo, is dil mein dinaraat agar hogaa
soch ke ye dam ghootataa hai, fir kaise gujar hogaa
kaash n aatee apanee judaee, maut hee aa jaatee
koee bahaane chain humaaree, ruh to paa jaatee
yek pal hasanaa kabhee, dil kee lagee ne naa diya