Gul hui jati hai, afsurda sulagti hui shaam
Dhul ke niklegi abhi chashmaye mehtab se raat
Aur mushtaq nigahon ki suni jayegi
Aur un haathon se mas honge ye tarse hue haath
Unka aanchal hai ki rukhsar ke pairahan hain
Kuch to hai jis se hui jaati hai chilman rangeen
Jaane us zulf ki mauhoom ghani chaaon mein
Timtimata hai woh aaveza abhi tak ke nahin
Aaj phir husne dilara ki wahi dhaj hogi
Wohi khabeeda si aankhen wahi kajal ki lakir
Rang-e rukhsar pe halka sa woh gaze ka ghubar
Sandli haath pe dhudhli si hina ki tahreer
Apne afkaar ki ashaar ki duniya hai yahi
Jaane mazmoon hai yahi shaahide maana hai yahi
Apna mauzoo-e-sukhan inke siva aur nahi
Tabba shayar ka vatan inke siva aur nahin
Yeh Khoon Ki mahak hai ki labe yaar ki khushboo
Kis raah ki - Jaanib se saba aati hai dekho
Gulshan mein bahar bahaar aayi ki zinda hua abad
Kis sand se naghmon ki sada aati hai dekho